Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf9ac0fe4e2aa1a334a67267dfc2de67, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Watan Ka Rag - Afsar Merathi Poetry In English - Darsaal

Watan Ka Rag

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

har rut har ek mausam is ka kaisa pyara pyara hai

kaisa suhana kaisa sundar pyara des hamara hai

dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

sare jag ke pahaDon mein be-misl pahaD himala hai

parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai

bhaarat ki rakhsha karta hai bhaarat ka rakhwala hai

lakhon chashme bahte hain is mein lakhon nadiyon wala hai

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain

sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain

bhaarat ki gulzaron ko sarsabz banati jati hain

kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

hare-bhare hain khet hamare duniya ko an dete hain

chandi sone ki kanon se hum jag ko dhan dete hain

prem ke pyare phul ki KHushbu gulshan gulshan dete hain

amn-o-aman ki neamat sab ko bhar bhar daman dete hain

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

'krishn' ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein

'gautam' ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein

'chishti' ne jo di thi mai wo ab tak hai paimanon mein

'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain

hindu hain ya muslim hain ya sikh hain ya isai hain

prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain

bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke saudai hain

bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai

(1476) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Watan Ka Rag In English By Famous Poet Afsar Merathi. Watan Ka Rag is written by Afsar Merathi. Read famous Poem Watan Ka Rag for youth and Student by Afsar Merathi. Free Download Watan Ka Rag in PDF.