Yas Hai Hasrat Hai Gham Hai Aur Shab-e-dijur Hai
yas hai hasrat hai gham hai aur shab-e-dijur hai
itne sathi hain magar tanha dil-e-ranjur hai
tera jaana tha ki gham-KHane pe wahshat chha gai
main ye samjha tha mere ghar se bayaban dur hai
shab ki KHamoshi mein hai tera tasawwur teri yaad
hae kya saman-e-taskin-e-dil-e-ranjur hai
(949) Peoples Rate This