Wo Hamari Samt Apna RuKH Badalta Kyun Nahin
wo hamari samt apna ruKH badalta kyun nahin
raat to guzri magar suraj nikalta kyun nahin
Thik uThte hain qadam bhi rah bhi hamwar hai
bojh apni zindagi ka phir sambhalta kyun nahin
jis tarah wo chahta hai Dhaal leta hai hamein
wo hamare dil ke paimane mein Dhalta kyun nahin
kya mohabbat mein kabhi hoti hai aisi kaifiyat
wo qarib-e-jaan hai lekin dil bahalta kyun nahin
aadmi ke dil ka jauhar yun to iman hai magar
aaj-kal bazar mein sikka ye chalta kyun nahin
jaane kaisi hain ye zanjiren hamare panw mein
garmi-e-raftar se loha pighalta kyun nahin
is maal-e-shauq par sab hath malte hain magar
tu kabhi 'afsar' kaf-e-afsos malta kyun nahin
(864) Peoples Rate This