Un Se Har Haal Mein Tum Silsila-jumban Rakhna

un se har haal mein tum silsila-jumban rakhna

kuchh madawa-e-gham-e-gardish-e-dauran rakhna

apne qabu mein zara gesu-e-pechan rakhna

ras aata nahin duniya ko pareshan rakhna

is andhere mein bhaTak jaen na yaaden un ki

apni mizhgan pe charaghon ko farozan rakhna

aaj-kal bikte hain bazar mein insan ke zamir

tum ho insan to phir waqat-e-insan rakhna

dagh dil ke hain salamat to koi baat nahin

tirgi lakh sahi subh ka imkan rakhna

mausam-e-shahr-e-nigaran ka koi Thik nahin

gosha-e-dil mein koi aatish-e-sozan rakhna

tum se sach puchho to itni hai guzarish meri

apne 'afsar' ko KHizan mein bhi ghazal-KHwan rakhna

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Se Har Haal Mein Tum Silsila-jumban Rakhna In English By Famous Poet Afsar Mahpuri. Un Se Har Haal Mein Tum Silsila-jumban Rakhna is written by Afsar Mahpuri. Read famous Poem Un Se Har Haal Mein Tum Silsila-jumban Rakhna for youth and Student by Afsar Mahpuri. Free Download Un Se Har Haal Mein Tum Silsila-jumban Rakhna in PDF.