Sarishk-e-gham Ki Rawani Thami Hai Mushkil Se
sarishk-e-gham ki rawani thami hai mushkil se
jo baat kahni thi un se kahi hai mushkil se
na jaane ahl-e-junun par ab aur kya guzre
abhi to fasl-e-bahaaran kaTi hai mushkil se
shab-e-firaq na puchho ki kis tarah guzri
sahar hui to hai lekin hui hai mushkil se
laga hua hai ye dhaDka ki bujh na jae kahin
hawa mein sham-e-mohabbat jali hai mushkil se
kahan thi manzil-e-maqsud apni qismat mein
kisi ki rahguzar bhi mili hai mushkil se
(794) Peoples Rate This