Kya Bataen Haal-e-dil Unki Shanasai Ke Baad
kya bataen haal-e-dil un ki shanasai ke baad
habs baDhta hi chala jata hai purwai ke baad
ek muddat par KHayal un ka kahan se aa gaya
kitni achchhi anjuman lagti hai tanhai ke baad
jab nazar aaya na sahil un ki chashm-e-naz mein
kya dikhai dega wo dariya ki gahrai ke baad
dar-ba-dar ki Thokaren khain mohabbat mein to kya
ho gae hum mohtaram kuchh aur ruswai ke baad
hum kahan honge na jaane is tamasha-gah mein
kis tamashai se pahle kis tamashai ke baad
un ke bare mein faqat itna hamein malum hai
ab wo rahte hain hamare dil ki angnai ke baad
KHub hai 'afsar' hamein apni haqiqat ki KHabar
kya hamara nala-e-dil un ki shahnai ke baad
(929) Peoples Rate This