Gham-e-hayat Ke Pesh-o-aqab Nahin PaDhta
gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin paDhta
ye daur wo hai jo sher-o-adab nahin paDhta
koi to baat hai rudad-e-KHun-e-nahaq mein
kahin kahin se wo paDhta hai sab nahin paDhta
kisi ka chehra-e-taban ki mah-e-raKHshanda
jo paDhne wala hai quran wo kab nahin paDhta
wo kaun hai jo tujhe raat din nahin likhta
wo kaun hai jo tujhe roz-o-shab nahin paDhta
wo ab to is qadar izhaar-e-haq se Darta hai
agar likha ho kahin lab to lab nahin paDhta
na jaane in dinon kya ho gaya hai saqi ko
nigah-e-rind mein husn-e-talab nahin paDhta
usi ka rang hai 'afsar' usi ki KHushbu hai
mera kalam koi be-sabab nahin paDhta
(802) Peoples Rate This