Bahaar Aaegi Gulshan Mein To Dar-o-gir Bhi Hogi
bahaar aaegi gulshan mein to dar-o-gir bhi hogi
jahan ahl-e-junun honge wahan zanjir bhi hogi
isi ummid par hum gamzan hain rah-e-manzil mein
yahan zulmat sahi aage kahin tanwir bhi hogi
agar rahna hai gulshan mein to apne aashiyane ki
kabhi taKHrib bhi hogi kabhi tamir bhi hogi
yahi to soch kar hum un ki mahfil se chale aae
hamari KHamushi ki kuchh na kuchh tafsir bhi hogi
ye hum bhi jaante hain zindagi ek KHwab hai 'afsar'
magar is KHwab ki aaKHir koi tabir bhi hogi
(1004) Peoples Rate This