Wahi Jo Haya Thi Nigar Aate Aate
wahi jo haya thi nigar aate aate
bata tu hi ab hai wo pyar aate aate
na maqtal mein chal sakti thi tegh-e-qatil
bhare itne ummid-war aate aate
ghaTi meri roz aane jaane se izzat
yahan aap khoya wiqar aate aate
jagah do to main is mein turbat bana lun
bhara hai jo dil mein ghubar aate aate
abhi ho ye fitna to kya kuchh na hoge
jawani ke lail-o-nahaar aate aate
ghaDi hijr ki kash ya rab na aati
qayamat ke lail-o-nahaar aate aate
KHabar deti hai yaad karta hai koi
jo bandha hai hichki ne tar aate aate
phir aae jo tum mehrban jate jate
phiri gardish-e-rozgar aate aate
azal se abad ko to jaana tha 'afsar'
chale aae hum us dayar aate aate
(859) Peoples Rate This