Tumhaare Hijr Mein Kyun Zindagi Na Mushkil Ho
tumhaare hijr mein kyun zindagi na mushkil ho
tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho
ajab nahin ki agar aaina muqabil ho
tumhaari tegh-e-ada KHud tumhaari qatil ho
na iKHtilaf-e-mazahib ke phir paDen jhagDe
hijab apni KHudi ka agar na hail ho
tumhaari tegh-e-ada ka fasana sunta hun
mujhe to qatl karo dekhun to kaise qatil ho
hamari aankh ke parde mein tum chhupo dekho
tumhaari aisi ho laila to aisa mahmil ho
ye arz roz-e-jaza hum karenge dawar se
ki KHun-baha main hamare hawale qatil ho
isi nazar se hai nur-e-nigah madd-e-nazar
mujhe habib ka didar ta-ki hasil ho
habib kyun na ho surat bhi achchhi sirat bhi
har ek amr mein tum rashk-e-mah-e-kaamil ho
ghazab ye hai ki adu ka jhuT sach Thahre
hum un se haq bhi kahen to guman-e-baatil ho
maza chakhaun tumhein is hansi ka rone par
KHuda kare kahin tum dil se mujh pe mail ho
tumhaare lab to hain jaan-e-masih o aab-e-baqa
ye kya zamane mein mashhur hai ki qatil ho
tumhaari did se sairab ho nahin sakta
ki shakl-e-aina munh dekhne ke qabil ho
isi rafiq se ghaflat hai aah ai 'afsar'
tumhaare kaam se jo ek dam na ghafil ho
(993) Peoples Rate This