Kuchh Bhi Nahin Jo Yaad-e-butan-e-hasin Nahin
kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin
jab wo nahin to dil bhi hamara kahin nahin
kis waqt KHun-fishan nahin aankhen firaq mein
kis roz tar lahu se yahan aastin nahin
aisa na paya koi bhi us but ka naqsh-e-pa
jis par ki aashiqon ke nishan-e-jabin nahin
har parda-dar waqt par aata nahin hai kaam
ek aastin hai aankhon par ek aastin nahin
donon jahan se kaam nahin hum ko ishq mein
achchha to hai jo apna Thikana kahin nahin
kya har taraf hai naza mein apni nigah-e-yas
zanu par us ke sar jo dam-e-wapsin nahin
donon mein sau tarah ke bakheDe hain umr bhar
ai ishq mujh ko hausla-e-kufr-o-din nahin
wo mehr-wash jo aaya tha kal aur auj tha
aaj aasman pe mere makan ki zamin nahin
kya aankh uTha ke naza mein dekhun kisi ko main
baalin par aap hi jo dam-e-wapsin nahin
paida hui zarur koi na-KHushi ki baat
be-wajh ye huzur ki chin-e-jabin nahin
KHair aa ke fatiha kabhi iKHlas se paDhe
us bewafa ki zat se ye bhi yaqin nahin
KHilat mili junun se ajab qata ki mujhe
daman hain chaak jeb qaba aastin nahin
'afsar' jo is jahan mein kal tak the hukmaran
aaj un ka bahar-e-nam bhi taj-o-nagin nahin
(656) Peoples Rate This