Dawam
main tumhaare faisle ka hasil hun
tum mujh se be-wajh ulajhte ho
main ne jo tumhein kaamyabiyan din
KHushiyan ata kin
use kyun nahin shumar karte
tumhaari harkaton se dar aane wali
zindagi bhar ki nakaamiyan
talKHiyon ki surat
jab tumhaare rag-o-pai mein
paiwast ho chuki hain
to
tum mujh se ulajh rahe ho
tum ye samajhte ho
ki main koi aazad parinda hun
jo jab chaha jahan chaha
subh-o-sham kar liya
nahin
main ek zimmedar mausam ki tarah
apni ungliyon mein
hua ke Dor
lipTa kar
daman-e-asman par naqsh-o-nigar
bana deta hun
(753) Peoples Rate This