Yun KHabar Kise Thi Meri Teri MuKHbiri Se Pahle
yun KHabar kise thi meri teri muKHbiri se pahle
main masarraton mein gum tha teri dosti se pahle
tere husn ne jagaya mere ishq-e-be-baha ko
teri justuju kahan thi mujhe shairi se pahle
tu sharik-e-zindagi hai main hun gham-gusar tera
tera gham raha hai shamil meri har KHushi se pahle
de agar mujhe ijazat jo mera zamir mujh ko
main tujhe KHuda bana lun teri bandagi se pahle
tere husn ki kahani mere ishq ka fasana
bahut aam ho chuka hai gham-e-ashiqi se pahle
tujhe rahnuma bana kar mujhe mil gai hai manzil
main bahut bhaTak raha tha teri rahbari se pahle
kaho mir-e-karwan se mujhe is tarah na dekhe
main baDa faraKH-dil tha kabhi dil-lagi se pahle
ye mata-e-ranj-o-gham aur shab-e-hijr ka ye 'alam'
tha kahan mera muqaddar teri be-ruKHi se pahle
(950) Peoples Rate This