Mauj-dar-mauj Hawaon Se Bacha Launga
mauj-dar-mauj hawaon se bacha launga
KHud ko main dasht ke panjon se chhuDa launga
hausla rakhiye main sahra se palaT aaunga
zarre zarre se mohabbat ka pata launga
mere hathon ki lakiron mein jo hain uljhe hue
un hi gesu ke liye phul bacha launga
tere mathe pe chamakte hue rangon ki qasam
tere honTon pe tarannum ki sada launga
main jo paband-e-wafa hun tu wafa zinda hai
main isi tarz-e-riyazat ka sila launga
mausam-e-KHushk hua tez magar wada raha
surKH phulon ke liye nam-e-wafa launga
shab ki tanhai mein aankhon se lahu Tapkega
aise 'alam' ki main taswir bana launga
(975) Peoples Rate This