Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8490f89dd877c999d17b347881d897c7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jigar Ko KHun Kiye Dil Ko Be-qarar Abhi - Afroz Alam Poetry In English - Darsaal

Jigar Ko KHun Kiye Dil Ko Be-qarar Abhi

jigar ko KHun kiye dil ko be-qarar abhi

bhaTak rahe hain tere ishq mein hazar abhi

isi liye to ye duniya dhuli dhuli si lage

tere firaq mein roe hain zar-zar abhi

ada-e-KHar se gulshan ki baDh gai zinat

agarche phulon ke daman hain tar tar abhi

siyah-baKHt fazaon mein dil hua bad-zan

teri zaban ke tewar hain aab-dar abhi

abhi na niklega hasil hamari baaton ka

tumhaare sar pe hai saya koi sawar abhi

ye dekhte hain ki kal rang-e-subh kya hoga

ki aaftab ka 'alam' hai intizar abhi

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jigar Ko KHun Kiye Dil Ko Be-qarar Abhi In English By Famous Poet Afroz Alam. Jigar Ko KHun Kiye Dil Ko Be-qarar Abhi is written by Afroz Alam. Read famous Poem Jigar Ko KHun Kiye Dil Ko Be-qarar Abhi for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Jigar Ko KHun Kiye Dil Ko Be-qarar Abhi in PDF.