Jab Apna Saya Hi Dushman Hai Kya Kiya Jae
jab apna saya hi dushman hai kya kiya jae
yahi to zehn ki uljhan hai kya kiya jae
hain jis ke hath mein zarre bhi mah-o-anjum bhi
usi ke hath mein daman hai kya kiya jae
udas baam pe mausam ne khol din zulfen
kisi biyog mein jogan hai kya kiya jae
wo sham-e-lutf-o-tarab aur chandni sa badan
isi KHumar mein nagan hai kya kiya jae
wo apni shoKH adaon se luTta hai mujhe
bahut hasin ye rahzan hai kya kiya jae
wafa-parast hai aatish-fishan ka rakhwala
sanam-kade mein barahman hai kya kiya jae
fareb deta hai 'alam' pe raj karta hai
adu ke hath mein har fan hai kya kiya jae
(878) Peoples Rate This