Hisar-e-did Mein Roidagi Malum Hoti Hai
hisar-e-did mein roidagi malum hoti hai
to kyun andesha-e-tishna-labi malum hoti hai
tumhaari guftugu se aas ki KHushbu chhalakti hai
jahan tum ho wahan pe zindagi malum hoti hai
sitare misl jugnu zaiche mein raqs karte hain
zara si der mein kuchh raushni malum hoti hai
jahan par ek jogan mast ho kar gungunati hai
usi sahil pe ek girti nadi malum hoti hai
udasi zulf kholegi dinon ki yaad mein gum hai
shuur-e-gul ko fikr-e-tishnagi malum hoti hai
jahan pe phul khilta hai sanwarta hai bikharta hai
usi shaKH-e-mohabbat pe kali malum hoti hai
satati hai tumhaari yaad jab mujh ko shab-e-hijran
mujhe KHud apni hasti ajnabi malum hoti hai
tumhaare lams ko main jab kabhi mahsus karta hun
bahut halki sahi ek raushni malum hoti hai
fana hona andheri raat ki taqdir hai 'alam'
mujhe ye bebasi bhi zindagi malum hoti hai
(918) Peoples Rate This