Guzre Lamhat Ka Ehsas Hua Jata Hai

guzre lamhat ka ehsas hua jata hai

daman-e-waqt yunhi mujh se chhaTa jata hai

main ujale ko mohabbat ka KHuda likhta hun

wo andhere hi se manus hua jata hai

jis ki KHushbu se fazaon mein mahak thi shab-bhar

subh-dam us ki taraf sanp baDha jata hai

mujh ko Dar hai koi aabid na bahak jae kahin

dil-ruba chand ka andaz hua jata hai

dur rah kar bhi rag-e-jaan se lipaT jate hain

aur is dil mein ujala sa hua jata hai

is qadar zahr pilaya mujhe us ne 'alam'

talKHi-e-zist ka ehsas miTa jata hai

(1585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzre Lamhat Ka Ehsas Hua Jata Hai In English By Famous Poet Afroz Alam. Guzre Lamhat Ka Ehsas Hua Jata Hai is written by Afroz Alam. Read famous Poem Guzre Lamhat Ka Ehsas Hua Jata Hai for youth and Student by Afroz Alam. Free Download Guzre Lamhat Ka Ehsas Hua Jata Hai in PDF.