Shauq-e-warafta Chala Shahr-e-tamasha Ki Taraf
shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf
baDh gae hum bhi hisar-e-husn-e-laila ki taraf
hum se maujen kah rahi thin aa meri aaghosh mein
hum kahan yun ja rahe the mauj-e-dariya ki taraf
is qadar Dube gunah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf
kya zaruri hai ki hirs-e-jalwa-e-sad-rang mein
har nazar bhaTke kisi bhi husn-ara ki taraf
aayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi murad
ek hai meri taraf ek mah-para ki taraf
shahr-e-dil virana kardam pa-ba-jaulan mi-kuni
ji khincha jata hai apna ab to sahra ki taraf
sari duniya dushman-e-jaan ban gai hai ai 'siraj'
koi patthar bhi na aaya tere shaida ki taraf
(709) Peoples Rate This