Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f8d8e5464e430b9e239145db9c41938f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shab Dhali Meri Aur Sahar Na Hui - Afeef Siraj Poetry In English - Darsaal

Shab Dhali Meri Aur Sahar Na Hui

shab Dhali meri aur sahar na hui

had hui aap ko KHabar na hui

aap kahte the pur-KHatar jitni

saKHt utni bhi rahguzar na hui

rah gaya dard dil ke pahlu mein

ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui

waqt-e-aKHir khula hai ye uqda

bholi surat bhi be-zarar na hui

kya se kya kah rahe hain aap 'siraj'

aap ki baat barwar na hui

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Dhali Meri Aur Sahar Na Hui In English By Famous Poet Afeef Siraj. Shab Dhali Meri Aur Sahar Na Hui is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Shab Dhali Meri Aur Sahar Na Hui for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Shab Dhali Meri Aur Sahar Na Hui in PDF.