Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5d92cf7d806e020303e3ad019d71aa3d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhko Ek Arsa-e-dil-gir Mein Rakkha Gaya Tha - Afeef Siraj Poetry In English - Darsaal

Mujhko Ek Arsa-e-dil-gir Mein Rakkha Gaya Tha

mujh ko ek arsa-e-dil-gir mein rakkha gaya tha

zahar goya kisi iksir mein rakkha gaya tha

hashiya matn samajh le jo paDhe qissa-e-gham

intizam aisa bhi tahrir mein rakkha gaya tha

KHwab-alud nigahon se ye kahta guzra

main haqiqat tha jo tabir mein rakkha gaya tha

umr-bhar is liye barsen meri aankhen ai dost

ek sahra meri jagir mein rakkha gaya tha

meri aankhon mein har ek rang tha tanhai ka

ek KHala bhi meri taswir mein rakkha gaya tha

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Ek Arsa-e-dil-gir Mein Rakkha Gaya Tha In English By Famous Poet Afeef Siraj. Mujhko Ek Arsa-e-dil-gir Mein Rakkha Gaya Tha is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Mujhko Ek Arsa-e-dil-gir Mein Rakkha Gaya Tha for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Mujhko Ek Arsa-e-dil-gir Mein Rakkha Gaya Tha in PDF.