Harim-e-dil Se Nikal Aankh Ke Sarab Mein Aa
harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa
meri tarah kabhi maidan-e-iztirab mein aa
payambaron ki zabani kahi suni hum ne
wo kah raha tha ki mere bhi intiKHab mein aa
suna hai aaj amari falak se utregi
mujhe bhi nind gar aae to mere KHwab mein aa
tujhe KHudai ka dawa hai gar to kam se kam
zamin par koi din rang-e-bu-turab mein aa
abhi hain sare sawalat tishna-kaam mere
uTha ke kandhe pe mina mere jawab mein aa
utar di hain bhanwar mein bhi kashtiyan hum ne
samundaron mein agar hai to is habab mein aa
(744) Peoples Rate This