Barson Ke Jaise Lamhon Mein Ye Raat Guzarti Jaegi
barson ke jaise lamhon mein ye raat guzarti jaegi
tum samne aae gar dil ki dhaDkan bhi Thahar hi jaegi
parde mein rahun aankhen meri betab to hain par tab nahin
be-tabi-e-dil lamhati hai haalat ye sambhaali jaegi
aaina-e-dil shaffaf to ho hum ko bhi sanwarna lazim hai
hum ko bhi pata hai milne par chehre ki bahaali jaegi
kuchh KHud mein kashish paida kar lo ki mahfil tum se aankh bhare
ye chaal baDe ayyar ki hai ye chaal na KHali jaegi
ai kashif-e-soz-e-hasti sun hai tujh mein nihan asrar ki bu
gar tera guzar gulshan se hua har baat nikali jaegi
(790) Peoples Rate This