Tilismi Ghaar Ka Darwaza
roz aadhi raat ko
ek tilismi ghaar ke
KHufiya darwaze ke sine mein janam leti hain ghaibi dhaDkanen
ghaar ki gahrai mein
chalte hue sangit ke qadmon ki chap
raat ki andhi hawa ka hath pakDe dur tak jati hai sath
ek zahri sanp
khinch aata hai sar ki chah mein
lakh KHatre hain zara si rah mein
band darwaze ke pas
narm bhini ghas mein
baiTh jata hai wo kunDli mar ke
aur apna phan uThae
jhumta rahta hai sar ki tan par
khelta rahta hai apni jaan par
TuTta hai jis ghaDi sar ka bahao
sanp ko aata hai tao
band darwaze pe ghussa mein paTakta hai wo sar
aur Das leta hai us ko apna zahri phan uTha kar
subh hone tak to mar jata hai darwaza
magar
roz aadhi raat ko
(780) Peoples Rate This