Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6d3fa060f66b561ce45e828bce06829f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Siyah Chand Ke TukDon Ko Main Chaba Jaun - Adil Mansuri Poetry In English - Darsaal

Siyah Chand Ke TukDon Ko Main Chaba Jaun

siyah chand ke TukDon ko main chaba jaun

safed sayon ke chehron se tirgi Tapke

udas raat ke bichchhu pahaD chaDh jaen

hawa ke zine se tanhaiyan utarne lagen

sajae jaen chhaton par mari hui aanhken

palang ret ke KHwabon ke sath so jae

kasi ke rone ki aawaz aae suraj se

sitare ghaar ki aanton mein TuTte jaen

main apni qainchi se kaghaz ka aasman kaTun

nahif waqt ki ranon pe KHwahishen rengen

lahu ka zaiqa danton mein muskurane lage

agar ye hath meri piTh par chipak jaen

siyah chand ke TukDon ko main chaba jaun

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyah Chand Ke TukDon Ko Main Chaba Jaun In English By Famous Poet Adil Mansuri. Siyah Chand Ke TukDon Ko Main Chaba Jaun is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Siyah Chand Ke TukDon Ko Main Chaba Jaun for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Siyah Chand Ke TukDon Ko Main Chaba Jaun in PDF.