Lahu Ko SurKH Gulabon Mein Band Rahne Do
lahu ko surKH gulabon mein band rahne do
shikasta KHwab ke shishon pe us ka aks paDe
siyah miTTi ke niche safed baal jale
kisi ke dant meri ungliyan chaba jaen
KHala ke zine se parchhaiyan utarne lagen
har ek lamhe ke chehre pe dhup marne lage
udas waqt ke kandhe pe hath rakh ke chalun
buzurg bap ke chehre ki jhurriyan chumun
KHamosh hain dar-o-diwar khiDkiyan chup hain
gali ke moD pe ruk jae raat ka saya
mujhe na roko mujhe meri man se milne do
ye mere bhai ye bahnen ye hamila biwi
lahu ko surKH gulabon mein band rahne do
(892) Peoples Rate This