Lafz Ki Chhanw Mein
lafz ki chhanw mein
nim ki pattiyon ka safar talKH sa
silni jism mein ruh bechain bhi
shahriyat ke taqaze jo TuTe kabhi
zindagi ke amal mein bhi shak aa paDa
TuT kar kis tarah juD gai chandni
dhup lamhon ke chehron se girti hui KHak mein ja mili
sar jhukae hue kaun saDkon pe yun tujh ko DhunDa kare
ham-kalami ki izzat ka baadal sada sar pe saya fagan
jab teri KHamushi ke maani ke honTon se Tapke hue
dudh ke chand qatre samundar bane
baadbanon ke aaghosh khole hue kashtiyan chal paDin
tishnagi ke jaziron pe saya kahan
subh ka mom pighla to KHwabon ke dil bujh gae
bujh gai raat bhi
bujh gai lafz ke hath ki baat bhi
lafz maidan mein sar-nigun rah gae
sangsari ki lazzat lahu ban gai
kaun poshida jazbon ki chilman bane
lafz ki chhanw mein koi suraj Dhale
(966) Peoples Rate This