Aamin
raat ke aaKHiri hisse ki siyahi gahri
hath ko hath sujhai nahin deta phir bhi
KHwab mein lipTe hue andeshe
nind ke ghaar mein jagi aankhen
gahri gahrai mein dhire se utarta pani
sahma sahma hua Darta pani
pani yaKH-basta wazu ka pani
aur KHushbu ke musalle pe koi sar-ba-sujud
KHud-kalami ki ghaDi
kapkapate hue honTon pe thirakta hua nam
ek ek lamhe ki aankhon mein nami
hath uThte hain KHalaon mein dua daman-gir
arsh ke niche se chalte hain hawa ke jhonke
aasmanon mein ayan haibat-e-subh-e-kazib
nur ki pahli kiran phuTe ufuq se -amin
(730) Peoples Rate This