Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a3338636aaf7744043e70f44124d13ae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamin ChhoD Kar Main Kidhar Jaunga - Adil Mansuri Poetry In English - Darsaal

Zamin ChhoD Kar Main Kidhar Jaunga

zamin chhoD kar main kidhar jaunga

andheron ke andar utar jaunga

meri patiyan sari sukhi huin

nae mausamon mein bikhar jaunga

agar aa gaya aaina samne

to apne hi chehre se Dar jaunga

wo ek aankh jo meri apni bhi hai

na aai nazar to kidhar jaunga

wo ek shaKHs aawaz dega agar

main KHali saDak par Thahar jaunga

palaT kar na paya kisi ko agar

to apni hi aahaT se Dar jaunga

teri zat mein sans li hai sada

tujhe chhoD kar main kidhar jaunga

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin ChhoD Kar Main Kidhar Jaunga In English By Famous Poet Adil Mansuri. Zamin ChhoD Kar Main Kidhar Jaunga is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Zamin ChhoD Kar Main Kidhar Jaunga for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Zamin ChhoD Kar Main Kidhar Jaunga in PDF.