Wusat-e-daman-e-sahra Dekhun
wusat-e-daman-e-sahra dekhun
apni aawaz ko phaila dekhun
hath mein chand ko pighla dekhun
KHwab dekhun ki KHaraba dekhun
sath par aks ko bahta dekhun
dariya dariya tera saya dekhun
KHud ko dekhun tera chehra dekhun
aaina toD dun phir kya dekhun
apne sae ko barahna paun
sath ruswai ko hansta dekhun
retili dhup mein aate jate
mahmil-e-waqt ko Thahra dekhun
subh ke phul ko hansta pa kar
raat ki aankh mein kanTa dekhun
shahr mein log jise DhunDte hain
apne ghar mein use baiTha dekhun
aisa din aae na hargiz 'adil'
jaise ji mein use marta dekhun
(746) Peoples Rate This