Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8d00c84db1cfbce45ab501d7ceebb03a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Pasand Nahin Aise Karobar Mein Hun - Adil Mansuri Poetry In English - Darsaal

Mujhe Pasand Nahin Aise Karobar Mein Hun

mujhe pasand nahin aise karobar mein hun

ye jabr hai ki main KHud apne iKHtiyar mein hun

hudud-e-waqt se bahar ajab hisar mein hun

main ek lamha hun sadiyon ke intizar mein hun

abhi na kar meri tashkil mujh ko nam na de

tere wajud se bahar mein kis shumar mein hun

main ek zarra meri haisiyat hi kya hai magar

hawa ke sath hun uDte hue ghubar mein hun

bas aas-pas ye suraj hai aur kuchh bhi nahin

mahak raha to hun lekin main regzar mein hun

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Pasand Nahin Aise Karobar Mein Hun In English By Famous Poet Adil Mansuri. Mujhe Pasand Nahin Aise Karobar Mein Hun is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Mujhe Pasand Nahin Aise Karobar Mein Hun for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Mujhe Pasand Nahin Aise Karobar Mein Hun in PDF.