Iblagh Ke Badan Mein Tajassus Ka Silsila
iblagh ke badan mein tajassus ka silsila
TuTa hai chashm-e-KHwab mein hairat ka aaina
jo aasman ban ke musallat saron pe tha
kis ne use zamin ke andar dhansa diya
bikhri hain pili ret pe suraj ki haDDiyan
zarron ke intizar mein lamhon ka jhumna
ehram TuTte hain kahan sang-e-waqt ke
sahra ki tishnagi mein abul-haul hans paDa
ungli se us ke jism pe likkha usi ka nam
phir batti band kar ke use DhunDta raha
shiryanen khinch ke TuT na jaen tanaw se
miTTi pe khul na jae ye darwaza KHun ka
maujen thin shoalagi ke samundar mein tund-o-tez
main raat bhar ubharta raha Dubta raha
alfaz ki ragon se maani nichoD le
fasid mawad kaghzi ghoDe pe Dal aa
(757) Peoples Rate This