Hone Ko Yun To Shahr Mein Apna Makan Tha
hone ko yun to shahr mein apna makan tha
nafrat ka regzar magar darmiyan tha
lamhe ke TuTne ki sada sun raha tha main
jhapki jo aankh sar pe naya aasman tha
kahne ko hath bandhe khaDe the namaz mein
puchho to dusri hi taraf apna dhyan tha
allah jaane kis pe akaDta tha raat din
kuchh bhi nahin tha phir bhi baDa bad-zaban tha
shole ugalte tir baraste the charKH se
saya tha pas mein na koi saeban tha
sab se kiya hai wasl ka wada alag alag
kal raat wo sabhi pe bahut mehrban tha
munh-phaT tha be-lagam tha ruswa tha DhiT tha
jaisa bhi tha wo dosto mahfil ki jaan tha
(799) Peoples Rate This