Ghum Raha Tha Ek ShaKHs Raat Ke Khaarzar Mein
ghum raha tha ek shaKHs raat ke KHarzar mein
us ka lahu bhi mar gaya subh ke intizar mein
ruh ki KHushk pattiyan shaKH se TuTti rahin
aur ghaTa baras gai jism ke regzar mein
rang mein rang ghul gae aks ke shishe dhul gae
qaus-e-quzah pighal gai bhigi hui lagar mein
ThanDi saDak thi be-KHabar garm dinon ke qahr se
dhup ko jhelte rahe peD khaDe qatar mein
bahti hawa ki mauj mein tair rahe the sabz ghar
shahr ajib sa laga raat chaDhe KHumar mein
nind bhi jagti rahi pure hue na KHwab bhi
subh hui zamin par raat Dhali mazar mein
deta jawab kya koi mere siwa na tha koi
Dub ke rah gai sada tang siyah ghaar mein
(790) Peoples Rate This