Darwaza Band Dekh Ke Mere Makan Ka
darwaza band dekh ke mere makan ka
jhonka hawa ka khiDki ke parde hila gaya
wo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gaya
peDon ne phul patton se rasta chhupa liya
us ke qarib jaane ka anjam ye hua
main apne-ap se bhi bahut dur ja paDa
angDai le rahi thi gulistan mein jab bahaar
har phul apne rang ki aatish mein jal gaya
kanTe se TuTte hain mere ang ang mein
rag rag mein chand jalta hua zahr bhar gaya
aankhon ne us ko dekha nahin is ke bawajud
dil us ki yaad se kabhi ghafil nahin raha
darwaza khaTkhaTa ke sitare chale gae
KHwabon ki shaal oDh ke main unghta raha
shab chandni ki aanch mein tap kar nikhar gai
suraj ki jalti aag mein din KHak ho gaya
saDken tamam dhup se angara ho gain
andhi hawaen chalti hain in par barhana-pa
wo aae thoDi der ruke aur chale gae
'adil' main sar jhukae hue chup khaDa raha
(894) Peoples Rate This