Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3e12f67a096dbf7c1a7d504539b4a167, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab TuTne Hi Wala Hai Tanhai Ka Hisar - Adil Mansuri Poetry In English - Darsaal

Ab TuTne Hi Wala Hai Tanhai Ka Hisar

ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar

ek shaKHs chiKHta hai samundar ke aar-par

aankhon se rah nikli hai tahtush-shuur tak

rag rag mein rengta hai sulagta hua KHumar

girte rahe nujum andhere ki zulf se

shab bhar rahin KHamoshiyan sayon se ham-kanar

diwar-o-dar pe KHushbu ke haale bikhar gae

tanhai ke farishton ne chumi qaba-e-yar

kab tak paDe rahoge hawaon ke hath mein

kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab TuTne Hi Wala Hai Tanhai Ka Hisar In English By Famous Poet Adil Mansuri. Ab TuTne Hi Wala Hai Tanhai Ka Hisar is written by Adil Mansuri. Read famous Poem Ab TuTne Hi Wala Hai Tanhai Ka Hisar for youth and Student by Adil Mansuri. Free Download Ab TuTne Hi Wala Hai Tanhai Ka Hisar in PDF.