Aashiq The Shahr Mein Jo Purane Sharab Ke
aashiq the shahr mein jo purane sharab ke
hain un ke dil mein waswase ab ehtisab ke
wo jo tumhaare hath se aa kar nikal gaya
hum bhi qatil hain usi KHana-KHarab ke
phulon ki sej par zara aaram kya kiya
us gul-badan pe naqsh uTh aae gulab ke
soe to dil mein ek jahan jagne laga
jage to apni aankh mein jale the KHwab ke
bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhen
dariya rawan-dawan hain chamakte sarab ke
okaDa itni dur na hota to ek din
bhar late sans sans mein gul aaftab ke
kis tarah jama kijiye ab apne aap ko
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
(879) Peoples Rate This