Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f7789c646121ea3be220a9552696235b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dum - Adil Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Dum

janab dum ki ajab nafsiyat hoti hai

ki is ki jumbish-e-adna mein baat hoti hai

wafa ke jazbe ka izhaar dum hilana hai

jo dum khaDi hai wo nafrat ka taziyana hai

jo lambi dum hai wo aali-sifat hoti hai

jo muKHtasar hai baDi wahiyat hoti hai

wo jaan-dar mukammal nahin adhura hai

wo jis ke dum nahin hoti hai wo lanDura hai

jahan mein yun to hai uncha maqam insan ka

magar lanDuron mein aata hai nam insan ka

main sochta hun jo insan ke dum lagi hoti

kasar jo baqi hai wo bhi na rah gai hoti

wo apni jaan bachane ko ye sipar leta

jo hath se nahin kar pata dum se kar leta

kuchh is tariqe se radd-e-amal hua karta

guzarti dil pe to dum par asar mila karta

KHushi ka jazba ubharta to dum uchak jati

koi udas jo hota to dum laTak jati

kisi pe dhons jamata to dum uTha leta

kisi se dhons jo khata to dum daba leta

buzurg log jawanon se jab KHafa hote

zaban pe un ke ye alfaz barmala hote

tumhein KHabar nahin thi kaisi aan-ban ki dum

kaTa ke bech li tum ne to KHandan ki dum

kahin jo fateh-e-azam koi khaDa hota

mere KHayal mein yun pose de raha hota

baDe ghurur se lahra raha hai dum apni

bajae monchhon ke sahla raha hai dum apni

sabha mein jab koi dastur-e-nau bana karta

shumar-e-rae kuchh is tarah se hua karta

jo log us ke muafiq hain dum uTha len wo

jo log us ke muKHalif hain dum gira den wo

amir logon ki dum mein anguThiyan hotin

anguThiyon mein naginon ki buTiyan hotin

ghamanD aur bhi baDh jata aur itraate

ye log jeb-ghaDi apni dum mein laTkate

hasin log kisi tarah se nibha lete

na milta kuchh to faqat dum ko hi ranga lete

jo muflisi se kabhi koi apni jhhallata

to haspatal mein le ja ke dum kaTa aata

hasin logon ki phulon se dum Dhaki hoti

ki phuljhaDi si fazaon mein chhuT rahi hoti

dumon se phir qad-e-zeba kuchh aur saj jate

kahan ki zulf ki dum hi mein dil ulajh jate

ye iftiKHar jo hum aashiqon ko mil jata

har ek ghuncha-e-ummid dil ka khil jata

kisi ko bazm mein hum apna yun pata dete

bajae panw dabane ke dum daba dete

kabhi kamand ka jo kaam dum se ho jata

hum aashiqon ka baDa nam dum se ho jata

ishaara kar ke hamein dum wo apni laTkate

hum un ke koThe pe dum ko pakaD ke chaDh jate

hamari rah ka har kanTa phul ho jae

agar dua ye hamari qubul ho jae

ki aadmi ke liye dum bahut zaruri hai

baghair dum ke har ek aarzu lanDuri hai

(2503) Peoples Rate This

Adil Lakhnavi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dum In English By Famous Poet Adil Lakhnavi. Dum is written by Adil Lakhnavi. Read famous Poem Dum for youth and Student by Adil Lakhnavi. Free Download Dum in PDF.