Nahin Koi KHabar Karna Nahin Hai
nahin koi KHabar karna nahin hai
hamein kuchh bhi asar karna nahin hai
bahut hi KHubsurat zindagi hai
magar aasan basar karna nahin hai
hawa ko rasta gar mil bhi jae
charaghon par asar karna nahin hai
gharaunde hi mein apne lauT jaun
ki KHud ko dar-ba-dar karna nahin hai
hazaron raste to muntazir hain
taKHayyul mein safar karna nahin hai
lubhate hain nae paude hamein bhi
magar sab ko shajar karna nahin hai
hain ab bhi ishq ki baaten gawara
lahu dil ko magar karna nahin hai
agar hai zindagi se pyar 'adil'
muhim koi bhi sar karna nahin hai
(795) Peoples Rate This