Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_29f2a3e0209abcfaed277df930b6f05c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega - Adil Hayat Poetry In English - Darsaal

Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega

har ek jawab ki tah mein sawal aaega

gae yugon ke buton ka zawal aaega

hunar ka aks bhi ho aaina bhi ban jao

phir us ke baad hi rang-e-kamal aaega

harif-e-jaan hai agar wo to phir kaho us se

gai jo jaan to dil ka sawal aaega

yaqin hai ki milega uruj hum ko bhi

yaqin hai ki tera bhi zawal aaega

abhi ummid ko mayusiyon ka rang na de

Thahar Thahar abhi us ka KHayal aaega

usi ke shah pe bujhega charagh-e-dil 'adil'

nihan KHulus mein jo ishtial aaega

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega In English By Famous Poet Adil Hayat. Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega is written by Adil Hayat. Read famous Poem Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega for youth and Student by Adil Hayat. Free Download Har Ek Jawab Ki Tah Mein Sawal Aaega in PDF.