Tamam Umr Ki Tanhai Ki Saza De Kar
tamam umr ki tanhai ki saza de kar
taDap uTha mera munsif bhi faisla de kar
main ab marun ki jiyun mujh ko ye KHushi hai bahut
use sukun to mila mujh ko bad-dua de kar
main us ke waste suraj talash karta hun
jo so gaya meri aankhon ko rat-jaga de kar
wo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye
chala gaya mujhe yaadon ka silsila de kar
jo wa kiya bhi daricha to aaj mausam ne
pahaD Dhanp diya abr ki rida de kar
kaTi hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghaw ye dariya ko rasta de kar
chaTaKH chaTaKH ke jali shaKH shaKH jangal ki
bahut sharar mila aag ko hawa de kar
phir is ke baad pahaD us ko KHud pukarenge
tu lauT aa use wadi mein ek sada de kar
sutun-e-reg na Thahra 'adim' chhat ke tale
main Dah gaya hun KHud apne ko aasra de kar
(1398) Peoples Rate This