Talluq Apni Jagah Tujhse Barqarar Bhi Hai
talluq apni jagah tujh se barqarar bhi hai
magar ye kya ki tere qurb se farar bhi hai
kured aur zamin mausamon ke mutalashi!
yahin kahin meri khoi hui bahaar bhi hai
yahi na ho teri manzil zara Thahar ai dil
wahi makan hai diyon ki wahi qatar bhi hai
yunhi to ruh nahin toDti hisar-e-badan
zarur apna koi baadalon ke par bhi hai
main pattharon se hi sar ko paTaKH ke lauT aaya
chaTan kahti rahi mujh mein shahkar bhi hai
ye kya ki rok ke baiTha hua hun sail-e-hawas
machan par bhi hun aur samne shikar bhi hai
chhupa hua bhi hun jine ki aarzu le ke
panah-gah meri sher ki kachhaar bhi hai
(1319) Peoples Rate This