Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Ke Nisab Mein
shamil tha ye sitam bhi kisi ke nisab mein
titli mili hanut purani kitab mein
dekhunga kis tarah se kisi ko azab mein
sab ke gunah Dal de mere hisab mein
phir bewafa ko bahr-e-mohabbat samajh liya
phir dil ki naw Dub gai hai sarab mein
pahle gulab us mein dikhai diya mujhe
ab wo mujhe dikhai diya hai gulab mein
wo rang-e-atshin wo dahakta hua shabab
chehre ne jaise aag laga di naqab mein
barish ne apna aks kahin dekhna na ho
kyun aaine ubharne lage hain habab mein
gardish ki teziyon ne use nur kar diya
miTTi chamak rahi hai yahi aaftab mein
us sang-dil ko main ne pukara to tha 'adim'
apni sada hi lauT kar aai jawab mein
(1834) Peoples Rate This