RaKHt-e-safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo
raKHt-e-safar yunhi to na bekar le chalo
rasta hai dhup ka koi diwar le chalo
taqat nahin zaban mein to likh hi lo dil ki baat
koi to sath surat-e-izhaar le chalo
dekhun to wo badal ke bhala kaisa ho gaya
mujh ko bhi us ke samne is bar le chalo
kab tak nadi ki tah mein utaroge kashtiyan
ab ke to hath mein koi patwar le chalo
paDti hain dil pe gham ki agar silwaTen to kya
chehre pe to KHushi ke kuchh aasar le chalo
jitne bhanwar kahoge pahan lunga jism par
ek bar to nadi ke mujhe par le chalo
kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi
tohfa koi to us ke liye yar le chalo
(1109) Peoples Rate This