Mufahamat Na Sikha Jabr-e-narawa Se Mujhe
mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe
main sar-ba-kaf hun laDa de kisi bala se mujhe
zaban ne jism ka kuchh zahr to ugal Dala
bahut sukun mila talKHi-e-nawa se mujhe
racha hua hai badan mein abhi surur-e-gunah
abhi to KHauf nahin aaega saza se mujhe
main KHak se hun mujhe KHak jazb kar legi
agarche sans mile umr bhar hawa se mujhe
ghiza isi mein meri main isi zamin ki ghiza
sada phir aati hai kyun parda-e-KHala se mujhe
main ji raha hun abhi ai zamin-e-adam-KHor
abhi to dekh na tu itni ishtiha se mujhe
bikhar chuka hun main ab mujh ko mujtama kar le
tu ab sameT bhi apni kisi sada se mujhe
main mar raha hun phir aae sada-e-kun-fayakun
banaya jae miTa ke phir ibtida se mujhe
main sar-ba-sajda hun ai 'shimr' mujh ko qatl bhi kar
rihai de bhi ab is ahd-e-karbala se mujhe
main kuchh nahin hun to phir kyun mujhe banaya gaya
ye puchhne ki ijazat nahin KHuda se mujhe
main reza reza badan ka uTha raha hun 'adim'
wo toD hi to gaya apni iltija se mujhe
(14622) Peoples Rate This