Mere Raste Mein Bhi Ashjar Ugaya Kije
mere raste mein bhi ashjar ugaya kije
main bhi insan hun mere sar pe bhi saya kije
raat din rah mein aankhen na bichhaya kije
raushni mein to charaghon ko bujhaya kije
aap itna to mere waste kar sakte hain
aap us shaKHs ki baaten hi sunaya kije
hath mein jo hai bahaar us ko to aane dije
kaghazon par to hare peD banaya kije
raste dhup se pighle hi chale jate hain
aap baadal hain to phir shahr pe saya kije
qaid-e-tanhai mein kya aaegi koi aawaz
baiTh kar apni hi zanjir hilaya kije
ja chuka shahr se wo apni udasi le kar
umr bhar ab dar-o-diwar sajaya kije
lijiye toD gaya dam wo sadaon ka Dasa
chiKHiye ab ki yahan shor machaya kije
phul khilte hain kahan KHushk chaTanon mein 'adim'
rah ke sang hi aankhon se lagaya kije
(1301) Peoples Rate This