Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6d04baf97a6acb7ba5434dcfb8f04fda, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna - Adeem Hashmi Poetry In English - Darsaal

Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna

kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna

kuchh hum ne tera sog manaya nahin itna

kuchh teri judai ki aziyyat bhi kaDi thi

kuchh dil ne bhi gham tera manaya nahin itna

kyun sab ki tarah bhig gai hain teri palken

hum ne to tujhe haal sunaya nahin itna

kuchh roz se dil ne teri rahen nahin dekhin

kya baat hai tu yaad bhi aaya nahin itna

kya jaaniye is be-sar-o-samani-e-dil ne

pahle to kabhi hum ko rulaya nahin itna

(1724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna in PDF.