Gham Hai Wahin Pa Gham Ka Sahaara Guzar Gaya
gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya
dariya Thahar gaya hai kinara guzar gaya
bas ye safar hayat ka itni si zindagi
kyun itni jaldi rasta sara guzar gaya
wo jis ki raushni se chamakna tha baKHt ko
kis aasman se wo sitara guzar gaya
kya zikr us ghaDi ka kaDi thi ki sahl thi
jo waqt jis tarah bhi guzara guzar gaya
tafhim-e-dosti mein baDi bhul ho gai
phir dur se hi dost hamara guzar gaya
kar ke yaqin phir se ki main mushkilon mein hun
Thahra nahin wo shaKHs dobara guzar gaya
ek waqt KHush-nasib sa aaya to tha 'adim'
maddham si ek sada mein pukara guzar gaya
mujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'adim'
jo zehn mein basa tha nazara guzar gaya
(1005) Peoples Rate This