Ek Pal Baghair Dekhe Use Kya Guzar Gaya
ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya
aise laga ki ek zamana guzar gaya
sab ke liye buland rahe hath umr bhar
apne liye duaon ka lamha guzar gaya
koi hujum-e-dahr mein karta raha talash
koi rah-e-hayat se tanha guzar gaya
milna to KHair us ko nasibon ki baat hai
dekhe hue bhi us ko zamana guzar gaya
dil yun kaTa hua hai kisi ki judai mein
jaise kisi zamin se dariya guzar gaya
is baat ka malal bahut hai mujhe 'adim'
wo mere samne se akela guzar gaya
hum dekhne ka Dhang samajhte rahe 'adim'
itne mein zindagi ka tamasha guzar gaya
baqi bas ek nam-e-KHuda rah gaya 'adim'
sab kuchh baha ke waqt ka dariya guzar gaya
(1745) Peoples Rate This