Bas Koi Aisi Kami Sare Safar Mein Rah Gai
bas koi aisi kami sare safar mein rah gai
jaise koi chiz chalte waqt ghar mein rah gai
kaun ye chalta hai mere sath be-jism-o-sada
chap ye kis ki meri har rahguzar mein rah gai
gunjte rahte hain tanhai mein bhi diwar-o-dar
kya sada us ne mujhe di thi ki ghar mein rah gai
aur to mausam guzar kar ja chuka wadi ke par
bas zara si barf har sukhe shajar mein rah gai
raat dariya mein phir ek shoala sa chakraata raha
phir koi jalti hui kashti bhanwar mein rah gai
raat bhar hota raha hai kin KHazanon ka nuzul
motiyon ki si jhalak har barg-e-tar mein rah gai
lauT kar aae na kyun jate hue lamhe 'adim'
kya kami meri sada-e-be-asar mein rah gai
(1114) Peoples Rate This